Benaam Shahidon ke Naam – शेहला मसूद के लिए: Tanzil Rahman

Guest post by Tanzil Rahman

Benaam shaheedoN ke naam (बेनाम शहीदों के नाम )

तंजील रहमान

For Shehla Masood, Niyamat Ansari , Amit Jethwa and many like them who are killed everyday across the world for daring to speak out the truth.

Ye Jang ruki thi kab  ये जंग कब रुकी थी

Ye jang to jaari hai  ये जंग तो जारी है

Ye jang hamaari hai  ये जंग हमारी है

Ye jang hamee’at ki  ये जंग हमी’अत की

Insaan ki qeemat ki  इंसान की कीमत की

Har ahl-e-hawas se hai  हर अहले-हवास से है

Har ahl-e-hakam se hai  हर अहले-हकम से है

Har zuml-o-sitam se hai हर ज़ुल्म-ओ-सितम से ही

Har jhoot se, nafrat se हर झूठ से, नफरत से ही

Auhaam se dahshat se औहाम से दहशत से है

Har rang ki zulmat se हर रंग की ज़ुल्मत से है

Ye jang to jaari hai ये जंग तो जारी है

Ye jang hamaari hai ये जंग हमारी है

Is jang se waabista इस जंग से वाबिस्ता

Har zinda sipahi ki हर जिंदा सिपाही की

Shamsheer hai haq-goi शमशीर है हक-गोई

Aqdaar alam uska अक्दार आलम उसका

Bebaak qalam uska बेबाक कलम उसका

Bekhauf qadam uska बेख़ौफ़ क़दम उसका

Har aan, har ek lamha हर आसन, हर एक लम्हा

Aabad bayaabaN meiN आबाद बयाबान में

Barbaad khayaabaN meiN बर्बाद खायाबान में

Ye jang to jaari hai ये जंग तो जारी है

Ye jang hamaari hai ये जंग हमारी है

Ye raah nahi aasaN ये राह नहीं आसान

Har mod pe khatray haiN हर मोड़ पे खतरे हैं

Benaami ke tayshay haiN बेनामी के तेशे है

Aur khoon ke qatray haiN और खून के कतरे हैं

Bichday huay khwabooN ki बिछड़े हुए ख़्वाबों की

Posheeda kasak ismeiN पोशीदा कसक इसमें

Sab kho kar paanay ki सब खो कर पाने की

Tabinda tadap ismeiN ताबिन्दा तड़प इसमें

Ye jang to jaari hai ये जंग तो जारी है

Ye jang hamari hai ये जंग हमारी है

Woh din bhi aayega वो दिन भी आएगा

Jab jang khatam hogi जब जंग खत्म होगी

Jab zulmat kam hogi जब ज़ुल्मत कम होगी

Benaam shaheedoN ki बेनाम शहीदों की

Taareekh raqam hogi तारीख रकम होगी

Insaan se insaaN ki इंसान से इंसा की

Taqseem rukegi jab तकसीम रुकेगी जब

Insaan pe insaan ki इंसान पे इंसान की

Tahkeem rukegi jab तह्कीम रुकेगी जब

Ye jang to jaari hai ये जंग तो जारी है

Ye jang hamari hai ये उँग हमारी है

Ye jang ruki thi kab ये जंग रुकी थी कब

*Tanzil Rahman is an activist based in Bangalore

4 thoughts on “Benaam Shahidon ke Naam – शेहला मसूद के लिए: Tanzil Rahman”

  1. tribute to martyrs, martyrs to transparency
    hope culprits get caught and send them behind bars and their family get justice
    nice work tanzeel rehman, thank you, i am younger brother of amit jethwa

    Like

Leave a reply to Redevelopment PMC Cancel reply